Kabhi mehrbaan tha

Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha

Mera wehem tha ya wo mera gumaan tha

De kar zakham wo marham rakhta tha

Ban raha tha ya waqai itna nadaan tha

Mujhse bichar gaya tha wo ek raat

Wo shakhs jo meri pehchaan tha

Kaash k wo mil jata hum ko hamesha k lye

Kitna is dil ko is baat ka armaan tha

KHUDA ko chahte to kuch mil ß jata,

Humne chaha jis ko wo to ek INSAAN tha...