Raat kat-ti rahi

Raat kat-ti rahi,
Chand dhalta raha,

Aatish-e-Hijr me koi jalta raha,

Ghar ki tanhayan dil ko dasti rahen,
koi bechain karwat badalta raha...

Aas-o-umeed ki shama roshan rahi,
Ghar ki dehleez koi tak'ta raha...

Raat bhar chandni gungunati rahi,
Raat bhar koi tanha sisakta raha...

Ashk palkön pe aa k bikharte rahe,
Naam lab pe aap ka larzta raha...

Aaj phir raat ho gai
Aaj phir koi khud se ulajhta raha...